Monday, 14 September 2015

....Beeta Waqt

Mohobbat to mehaz naam se hi hogaya tha,
Rooh se ittefaq ko to abhi waqt tha...

Ishq to mehaz nazarein milane se hogai thi,
Iqrar ko to abhi waqt tha...

Ibadat to chand mulakaton se hi hogai thi,
Fir kahan pata chala beeta kab wo waqt tha...

1 comment: