Monday, 15 December 2014

Astitva

Koi khayal sa ata hai jab khud ko dekhun ayine mei....
Kya hai jo dikhta hai jab khud ko dekhun ayine mei...
Sawal hai ya mere mann ke jawab khoi se us dhundhle chab mei...
Ye dhundhla sa chab hai dukhta mujhe ya har nazar ko dikhta hai wasatv mei....
Mere duniya mai hi yun gumnaam ho chali hun benaam wastav mei...

Koi khayal sa hai ata jab khud ko dekhun ayine mei...
Kya hai jo dikhta jab dekhun khud ko ayine mei....
Ye chab hai meri ya fir banayi kisi ki yun jo na aya pehchan is janam mei...
Kya mera astitva ya jiyu kisi ka jeewan apni rooh se is janam mei..
Mere duniya mai hi yun gumnaam ho chali hun benaam wastav mei...

Koi khayal sa hai ata jab khud ko dekhun ayine mei...
Kya hai jo dikhta jab dekhun khud ko ayine mei....
Ye dhundhla sa chab hai dukhta mujhe ya har nazar ko dikhta hai wasatv mei....
Kya mera astitva ya jiyu kisi ka jeewan apni rooh se is janam mei..

Tuesday, 2 December 2014

Yellow

When I saw you in a distant dream...
You turned from blue to grey to dark with the distant evening sky...
You still carried that yellow around, I could see you when it was clouded grey in mind...
Wishes that turned from yellow to crimson to dark with setting sun..seemed denied.
You still carried that yellow around...like the twinkle of the stars in the distant sky.

When I saw you in a living dream....
You turned from dark to grey to blue like the morning sky.
You still carry that yellow around..colouring me in the colour that clears clouded grey in mind.
Wishes turn from dark to crimson to yellow..same as your colour...bathing me with the warm sun.

Friday, 21 November 2014

KUCH IS KADAR

Kuch is kadar andaz e bayan hua mohobbat ka...
Kuch is kadar andak e bayan hua paimanon mei bhari chahat ka...
Kuch is kadar ghul gaye ye tere ,ere rang hain ashiqana ke..
Kuch is kadar ghul gaye raks tere mere rooh ke chahat ke...
Kuch is kadar jud gaye ki showkiyan jawan hui...
Kuch is tarah jud gaye ki fasle darmiyan mit gai....


...............VA........

Friday, 24 October 2014

Lazmi...

Dabe pawn yun tera kareeb akar ched jana...
ek ishaara sa deta hai...
Tere kareeb hone par har bar yun rooh ka machal jana...
ek ishara sa deta hai....

Jahan nigah daude wahan tera hi maujoof hona...
lazmi sa lagta hai....
Hawa ke sarsarahat mei tere chipaye isharon ko samajhna...
lazmi sa lagta hai...

Tere har isharon ko apna samajhna....lazmi sa lagta hai...

tham jane do

Uth raha hai toofan..
zara ise tham jane do...
sang beh chalegi ye khabar warna....
zara ise tham jane do...
khul rahe hain jo lab.
.ise sil jane do...
bol padenge wo labz warna...
ise sil jane do..
uth rahe hain jazbatt.
.ise sambhal jane do...
labzon se uthenge toofan warna...
ise sambhal jane do...

Friday, 10 October 2014

KUCH DER AUR...

Mujhe khumaar mei hi rehne do, bada meetha ehsaas hai....
Mujhe anjaan rehne do, bada kadwa vaastav hai...
Mujhe kuch der aur sone do, badi zahil ye duniya hai....

Band ho jane do inko, bade bhojil se naina hain....
Kuch der aram do, bahut namm se naina hain...
Kuch der chhaw do, bahut kadi ye dhoop hai...
Mujhe ehsaas na hone do, sabke jitne armaan hain...

Muhje khumaar mei hi rehne do, bada meetha sa nasha hai...
Mujhe anjaan rehe do, nadaniyon mei maza hai...
Mujhe kuch der aur sone do, bade bhojil se rishte hain...
Mujhe kuch der aur pare rehne do, ta umar to yahin rehna hai...

...VA...

Wednesday, 1 October 2014

DUNIYA

Kabhi jo labz na keh paye..wo ek khamoshi keh jati hain...
to kabhi..sanson ki garmahat keh jati hai..kabhi palkon se chalakte ansoon keh jate hain...
Jo na keh paye wo..dil ka dard ban jati hai..lahoo mei utar ati hai...

Samajhna chaho to..hum khuli kitaabe hain...
na samjho to...ek raaz hain...

Sanson mei bas kar dekho...zara khamoshi ka sath dekar dekho..
chalakte ansuon ko choom kar to dekho..mere rang mei rang kar to dekho...

Ek duniya basaye hue hain hum..sab kuch us par lutayein hue hain hum....
har pal ko daman mei chupaye hue hain hum....

Itni khoobsoorat banai zindagi hamari...
Humne to bas jana...duniya ap hai hamari....

...VA....

ANSU

kisi soch mei gum...ye ankhen thi...
shayad kisi khoyi cheez ki talash mei thi...
ek ansu chupke se tha nikala...
ankhon ko bhi na pata chala...
sookhe zameen ko nam karta wo rasta banata chala gaya...
hawa ke jhonkon mei wo ghulta chala gaya....

jab pucha us se to bola...
har pal jise dhundhti hain wo ankhen...
use hi dhundhte nikala tha mai...
jin dard ko chupaye the usne..uske ansh ko bahane chala tha mai...
kuch dard kum karne chala tha mai....

shayad kuch dukh kum hua hoga uska...
dil halka hua hoga uska...ek ansh to baha laya tha mai...
baki usko adat hai...seh lega soch chupt rehta hun mai....

Tuesday, 30 September 2014

ANJAAN

Kitne lafz kiye tere naam, 
fir bhi tu yun gumnaam meri duniya mei....

Behtar yahi ke tu rahe,
 par rahe anjaan meri duniya mei...

Teri pechaan na hogi kabool, 
yun hi kuch waqt kar lun wasool teri duniya mei...

Rahe ye rishta nadan,
tu yun hi reh anjaan apni maujoodgi se meri duniya mei....


......VA.....

Friday, 12 September 2014

TERE SAPNE

Tere sapne bade hain meri chahat se..yun door jane ki batein karta hai...
Door to tu hai...darti hun ankhon se ojhal na ho jaye...
Abhi to izhar bhi na kiya apne ikrar ka...
Kahin ye ehsas ankaha na reh jaye.....

...VA...

Monday, 8 September 2014

TERE RANG MEI



jitna mai tujhse door jaun...utna tere kareeb aun..
sochu dayaron mei rehne ka to..utna hi had par krti jaun..
                  jitna sochun khud ko sametun..utna hi bikharti jaun..
                 dimag sunn hai..dhadkanon ki shor mei...
                 labz khud ba khud mai bolti jaun...
na koi kabu hai khud pe na ki manzil hai dikhti...
kyu tujhe mai gumraah krti jaun...
                chand lamhon ke is haseen raat mei...
                kahin tujhe mai na bhatakta chod jaun...
darta hai dil mera..par na jane kyu..
mai tere rang mei rangti jaun....

......VA.......

Saturday, 6 September 2014

BHAWANAYEIN


Bhawanayein jo dariya ban dil se beh nikalti hai..
Apna raasta dhundh..banjar zameen ko cheer behti hai…
Samay ke sath gehrati hai…

Na jane kitno ko palti hai aur kitno ko doobati hai…
Jo ek ke liye pujaniya ho ..wo kisi ke liye nafrat ka karan ban jati hai…

…. SHAMA(VA).....

WADA RAHA


Umadte jazbaaton ko dabane ki dua..
 tu allah se aur mai ishwar se karta raha….
Zalim zamana dooriyan badhata raha…
Ek boond ishq mei ek boond zeher ka sath hua…
Ek aisa zamane mei fir milne ka wada hua…
Jahan na allah ho na ishwar ho…
Bas us pak ishq jharne ke kinare ek ghar basane ka wada raha….


…… SHAMA (VA)......

Friday, 5 September 2014

mehsoos hota hai par dikhta nahi


Kuch samay ho gaya sukoon liye...
Dimag ke shor ko shaant kiye...
Ek andhe daud ka hissa hu...
Mehsoos hota hai...dikhti nahi ye be-maani zindagi ki...

kucj samaay ho gaya ye khalbali ko ruke...
Dil ke dhadkano ko shant kiye...
Mehsoos hota hai...dikhti nahi ye be-chaini dil ki...

Be-maan duniya mei be-chain ye andhiyari gali ko tatol rahi...
Kabhi resham pe to kabhi kaanton pe chalun hath ferti...
Mehsoos hota hai...dikhte nahi patthar zindagi ke....

Thursday, 4 September 2014

ARMAN

mere pankh khule hain..
asman bhi saaf nazar araha...
fir bhi mai yahan baith sirf un khule parindon ko taak raha...
chahat hai ud jaun..door kahin kho jaun...

chedte hain wo mujhe un unchayiyon se duniya ki khoobsoorti dkh kr...
dil dukhta hai...pr mai fir bhi sehta hun mai..
apni galatiyon se khud ka dum ghota ja raha...

sirf galatiyan hi nahi..cheez hai kuch anmol jinko khona nahi chahta...
ek aur galati bhari na pad jaye...pichli galatiyon ka bhojh sehta ja raha...

kehte hai sab..himmat to dikha...koshish to kr gagan ko choone ki..
mere dil se pucho..himmat to bahut hai..pr us anmol cheez ke liye ladne ki...

mujhe pata hai..pa liya usko ek bar to..khud ba khud ..mai uchaiyon mei ghumunga...
wo ud raha hai..wahin upar..uski nazar se duniya dekh raha mai...

jo pa lun usko to...sang dekhenge baki duniya...
sang un parindon ke mai bhi ghumunga...dil ke sare arma pura kr lunga...

mere pankh khule hain..
asman bhi saaf nazar araha...
apna pyar bhi kareeb nazar araha....

--
Vidya Anil