Wednesday, 7 January 2015

WO MILI HOGI..

Safar mei  jab ankh lagi hogi...
Ek haseen khwaab si wo mili hogi...
Kuch der hi sahi sang chali hogi...
Tu uske khwab mei, aisa wo bhi samhi hogi..

Jism se rooh mei utarna mehsoos hua hoga...
Ankhon se dil mei utarna mehsoos hua hoga...
Duniya se use chupane ki chahat mehsoos hui hogi...
Door kahin sang simat jane ki chahat hui hogi...

Ek duniya basa liya hoga....
Usme rooh ka raks hua hoga...
Khwabon ki meethi baatein hongi...
Kayi 'kash' ke ankhae jawab honge...

Jab socha hoga hath thamne ka...
Koi khayal se ankh khula hoga..
Tu door falak tak bechain takta raha hoga...
Koi nishan us hamsafar ka na mila hoga....

Saundhi si khusboo tan se ati hogi...
Meetha ehsaas badan pe rasham hoti hogi...
Haseen khwaab samajh tu mskuraya hoga...
Kuch der bad kuch naya khayal mann mei aya hoga....

Adhoori si batein abhi bhi hawa mei hongi...
Diwaron pe khilkhlahat abh bhi goonjhti hogi....
Ankhon ki sharmahat kahin pardon mei chupte honge...
Angdaiyan abhi bhi silwaton mei simti hongi...

Safar mei fir milne ko wo raah takti hogi...
Tu us raaste fir guzre aisi guzarish wo karti hogi...
Mukaam par pahunch kahin tu use bhool na jaye dua karti hogi..
Jis pal teri nend tooti hogi us pal ko wo har pal kosti hogi...

......VA.....