Tuesday, 30 September 2014

ANJAAN

Kitne lafz kiye tere naam, 
fir bhi tu yun gumnaam meri duniya mei....

Behtar yahi ke tu rahe,
 par rahe anjaan meri duniya mei...

Teri pechaan na hogi kabool, 
yun hi kuch waqt kar lun wasool teri duniya mei...

Rahe ye rishta nadan,
tu yun hi reh anjaan apni maujoodgi se meri duniya mei....


......VA.....

Friday, 12 September 2014

TERE SAPNE

Tere sapne bade hain meri chahat se..yun door jane ki batein karta hai...
Door to tu hai...darti hun ankhon se ojhal na ho jaye...
Abhi to izhar bhi na kiya apne ikrar ka...
Kahin ye ehsas ankaha na reh jaye.....

...VA...

Monday, 8 September 2014

TERE RANG MEI



jitna mai tujhse door jaun...utna tere kareeb aun..
sochu dayaron mei rehne ka to..utna hi had par krti jaun..
                  jitna sochun khud ko sametun..utna hi bikharti jaun..
                 dimag sunn hai..dhadkanon ki shor mei...
                 labz khud ba khud mai bolti jaun...
na koi kabu hai khud pe na ki manzil hai dikhti...
kyu tujhe mai gumraah krti jaun...
                chand lamhon ke is haseen raat mei...
                kahin tujhe mai na bhatakta chod jaun...
darta hai dil mera..par na jane kyu..
mai tere rang mei rangti jaun....

......VA.......

Saturday, 6 September 2014

BHAWANAYEIN


Bhawanayein jo dariya ban dil se beh nikalti hai..
Apna raasta dhundh..banjar zameen ko cheer behti hai…
Samay ke sath gehrati hai…

Na jane kitno ko palti hai aur kitno ko doobati hai…
Jo ek ke liye pujaniya ho ..wo kisi ke liye nafrat ka karan ban jati hai…

…. SHAMA(VA).....

WADA RAHA


Umadte jazbaaton ko dabane ki dua..
 tu allah se aur mai ishwar se karta raha….
Zalim zamana dooriyan badhata raha…
Ek boond ishq mei ek boond zeher ka sath hua…
Ek aisa zamane mei fir milne ka wada hua…
Jahan na allah ho na ishwar ho…
Bas us pak ishq jharne ke kinare ek ghar basane ka wada raha….


…… SHAMA (VA)......

Friday, 5 September 2014

mehsoos hota hai par dikhta nahi


Kuch samay ho gaya sukoon liye...
Dimag ke shor ko shaant kiye...
Ek andhe daud ka hissa hu...
Mehsoos hota hai...dikhti nahi ye be-maani zindagi ki...

kucj samaay ho gaya ye khalbali ko ruke...
Dil ke dhadkano ko shant kiye...
Mehsoos hota hai...dikhti nahi ye be-chaini dil ki...

Be-maan duniya mei be-chain ye andhiyari gali ko tatol rahi...
Kabhi resham pe to kabhi kaanton pe chalun hath ferti...
Mehsoos hota hai...dikhte nahi patthar zindagi ke....

Thursday, 4 September 2014

ARMAN

mere pankh khule hain..
asman bhi saaf nazar araha...
fir bhi mai yahan baith sirf un khule parindon ko taak raha...
chahat hai ud jaun..door kahin kho jaun...

chedte hain wo mujhe un unchayiyon se duniya ki khoobsoorti dkh kr...
dil dukhta hai...pr mai fir bhi sehta hun mai..
apni galatiyon se khud ka dum ghota ja raha...

sirf galatiyan hi nahi..cheez hai kuch anmol jinko khona nahi chahta...
ek aur galati bhari na pad jaye...pichli galatiyon ka bhojh sehta ja raha...

kehte hai sab..himmat to dikha...koshish to kr gagan ko choone ki..
mere dil se pucho..himmat to bahut hai..pr us anmol cheez ke liye ladne ki...

mujhe pata hai..pa liya usko ek bar to..khud ba khud ..mai uchaiyon mei ghumunga...
wo ud raha hai..wahin upar..uski nazar se duniya dekh raha mai...

jo pa lun usko to...sang dekhenge baki duniya...
sang un parindon ke mai bhi ghumunga...dil ke sare arma pura kr lunga...

mere pankh khule hain..
asman bhi saaf nazar araha...
apna pyar bhi kareeb nazar araha....

--
Vidya Anil